Saturday, 4 January 2014

TU ZINDA HAI TO ZINDAGI

Tu zinda hai to zindagi ki jeet mein yaqeen kar,
agar kahin hai swarg to utaar la zameen par, Tu zinda hai...
Ye gham ke aur chaar din, sitam ke aur chaar din,
ye din bhi jaayenge ghuzar, ghuzar jaaye hazaar din.
kabhi to hogi is chaman pe bhi bahaar ki nazar,
agar kahin hai swarg to utaar la zameen par, Tu zinda hai...
Subah-o-shaam ke rang hue gagan ko choomkar 
tu sun zameen gaa rahi hai kab se jhoom jhoom kar 
tu aa mera singaar kar, tu aa mujhe haseen kar 
agar kahin hai swarg toh utaar laa zameen par, Tu zinda hai..
Hazaar bhes dhar key aayi maut tere dwaar par
magar tujhey na chhal saki, chali gayi woh haar kar
nayi subah ke sang sadaa mile tujhe nayi umar
agar kahin hai swarg toh utaar laa zameen par, Tu zinda hai.....
Hamare caravan ko manzilon ka intezaar hai,
ye aandhiyon, ye bijaliyon ki peeth par sawar hai.
tu aa kadam mila ke chal, chalenge ek saath hum,
agar kahin hai swarg to utaar la zameen par, Tu zinda hai...